Ram Ji Ke Sena Chali



  • ⇐ ⇐ Click Play button to listen to Geet.
  • Title: Ram Ji Ke Sena Chali
  • Genre: Hinduism
  • Language: Hindi
  • Theme: Ram Bhakti
  • Length: 4:15 minutes (2.92 MB)
  • Format: MP3 Stereo 44kHz 96Kbps (CBR)
पापियों के नाश को ………….
धर्मं के प्रकाश को ……….
पापियों के नाश को, धर्मं के प्रकाश को
रामजी की सेना चली, रामजी की सेना चली
श्री रामजी की सेना चली, रामजी की सेना चली.
पाप अनाचार में, घोर अन्धकार में
एक नई ज्योति जली, एक नई ज्योति जली
श्री रामजी की सेना चली, रामजी की सेना चली.
निशिचर हीन करेंगे धरती, यह प्राण है श्री राम का
जब तक काम न पूरण होगा नाम नही विश्राम का
उसे मिटानें चलें के जिसका मंत्र वयम रक्षाम का
समय आचाला निकट राम और रावण के संग्राम का
समय महा संग्राम का
तीन लोक धन्य हैं ……......
देवता प्रस्सन्न हैं ..........
तीन लोक धन्य हैं, देवता प्रस्सन्न हैं
आज मनोकामना फली, आज मनोकामना फली
श्री रामजी की सेना चली, रामजी की सेना चली.

रामचन्द्रजी के संग लक्ष्मण कर में लेकर बाण चले
लिए विजय विश्वास ह्रदय में संग वीर हनुमान चले
सेना संग सुग्रीव, नील, नल, अंगद छाती तान चले
उसे बचाए कौन के जिसका वध कराने भगवान चले
वध कराने भगवान चले
आगे रघुनाथ हैं ……..
वीर साथ साथ हैं ……….
आगे रघुनाथ हैं, वीर साथ साथ हैं
एक से एक बलि, एक से एक बलि
श्री रामजी की सेना चली, रामजी की सेना चली.

प्रभु लंका पर डेरा डाले, जब महासागर पार हो
कब हो सफल अभियान हमारा, कब सपना साकार हो
पाप अनीति मिटे धरती से, धर्मं की जाया जाया कार हो
कब हो विजयी राम हमारे, कब रावण की हार हो
कब रावण की हार हो
राम जी से आस है ..........
राम पे विश्वास है .......
राम जी से आस है, राम पे विश्वास है
राम जी करेंगे भली, राम जी करेंगे भली
श्री रामजी की सेना चली, रामजी की सेना चली.
हर हर महादेव, हर हर महादेव
जाया भवानी, जाया भवानी, जाया भवानी

Paapiyon ke naash ko ………….
Dharma ke prakaash ko ……….
Paapiyon ke naash ko, Dharma ke prakaash ko
Raamji ki sena chali, Raamji ki sena chali
Shri Raamji ki sena chali, Raamji ki sena chali.
Paap anaachaar mein, ghor andhakaar mein
Ek nayi jyoti jali, ek nayi jyoti jali
Shri Raamji ki sena chali, Raamji ki sena chali.
Nishichar heen karenge dharati, yeh pran hai Shri Raam ka
Jab tak kaam na puran hoga naam nahi vishram ka
Use mitanein chalein ke jiska mantra vayam rakshaam ka
Samay aachala nikat Raam aur Raavan ke sangraam ka
Samay maha sangraam ka
Teen lok dhanya hain ……......
Devata prassanna hain ..........
Teen lok dhanya hain, Devata prassanna hain
Aaj manokaamana phali, aaj manokaamana phali
Shri Raamji ki sena chali, Raamji ki sena chali.

Raamchandraji ke sang Lakshman Kar mein lekar baan chale
Liye vijaya vishwas hriday mein sang veer Hanumaan chale
Sena sang Sugreev, Neel, Nal, Angad chaati taan chale
Use bachaaye kaun ke jiska vadh karane Bhagawaan chale
Vadh karane Bhagawaan chale
Aage Raghunaath hain ……..
Veer saath saath hain ……….
Aage Raghunaath hain, Veer saath saath hain
Ek se ek bali, Ek se ek bali
Shri Raamji ki sena chali, Raamji ki sena chali.

Prabhu Lanka par dera daale, jab mahasaagar paar ho
Kab ho saphal abhiyaan hamaara, kab sapna saakaar ho
Paap aneeti mite dharati se, dharma ki jaya jaya kaar ho
Kab ho vijayi Raam hamaare, kab Raavan ki haar ho
Kab Raavan ki haar ho
Raam ji se aas hai ..........
Raam pe vishwas hai .......
Raam ji se aas hai, Raam pe vishwas hai
Raam ji karenge bhali, Raam ji karenge bhali
Shri Raamji ki sena chali, Raamji ki sena chali.
Har Har Mahaadev, Har Har Mahaadev
Jaya Bhavaani, Jaya Bhavaani, Jaya Bhavaani


This is a very-very good for us because we hindu and Bhartiya. But please try to approch at every computor which is opreated by hindus in anywhere in world.
So kind of you.
Ek mahasindhu ka Hindu

this is not a same geet which is given below. we want to listen same below geet. can we listen same below english write geet?

Alpesh

Post new comment

The content of this field is kept private and will not be shown publicly.
  • Lines and paragraphs break automatically.

More information about formatting options